chehra us ka surkh gulab hont bhare yaqut se hain jhil si gahri kali aankhen chand jabin pe rahta hai zulfon mein ambar ki khushbu taj-mahal sa us ka jism ghunchon se bhari dali ki tarah wo lahraati bal khati hai be-khaufi be-fikri mein mast magan si rahti hai jaise madhuban ki baala jaise hasina ganw ki jaisi 'hasrat' ki mahbuba jaisi pyari shah-'qutub' ki jaise ghazal wo 'mir' ki ho han wo bilkul aisi hi hai han wo meri mashuqa hai meri hi mashuqa hai wo