jahan main khadi thi wahan se qadam, do qadam hi ka rasta tha jis ja pe mausam badalne ko tayyar baithe the mere ye bas mein nahin tha ki main apni khidki ke aage pighalte hue manzaron mein koi apni marzi ka hi rang bhar dun khizan ki akadti hui zard banhon ko apne jharoke ke aage ye bad-rang pile manazir sajaane se hi rok paun darakhton ki mazbut shakhon se daman chhudate hue zard patton ko rokun bikharte hue phul lachkili, sarsabz shakhon pe phir se khilaun hawaon ki pazhmurda sanson mein phir zindagi daud jae parindon ki chahkar ubhre, nadi muskurae jahan main khadi thi wahan se qadam, do qadam hi ka rasta tha raste mein bikhre hue kitne pal the adhure safar the magar mere bas mein nahin tha ki main sare bikhre hue pal hi tartib de dun masafat ke mare hue raste manzilon se mila dun ulajhti hui, sar patakhti hui tund maujon ke aage kinare bichha dun jahan main khadi thi wahan se qadam, do qadam hi ka rasta tha jis ja pe duniya thi, thahra hua waqt tha jis jagah zindagi thi magar mere bas mein nahin tha ki main zindagi se ye kah dun ki thahre hue waqt se aage kuchh pal nikalne na pae ye duniya ko ja ke batae mujhe sans lene ko thodi jagah chahiye waqt ka ek ujala kinara mile zindagi se kuchh aisa ishaara mile is zamane ka hi sath sara mile main use ja ke kah dun magar mere bas mein nahin tha ki main apni banhen uthaun qadam ko badhaun nigahon se us ko bulaun use kah hi paun ki hai ye qadam, do qadam hi ka rasta jahan main khadi hun!