wo kaisi hai use main ne nahin dekha suna hai wo zamin-zadi dhanak se apne khwabon ke ufuq gul-rang rakhti hai mere khashak se aage kisi manzar mein rahti hai hawa ke ghar mein rahti hai wo kis suraj ka hissa hai wo kis tare ki mitti hai use main ne nahin dekha meri aankhon se le kar us ki aankhon tak kise malum hai kitne sitare hain mujhe kya ilm wo kis rang ke kapde pahanti hai wo khali bartanon mein apna din kaise bitati hai wo khushiyan dhundti hai aur khud ko band almari mein rakh kar bhul jati hai wo ghar ke lawn mein baithi bahut kuchh sochti hogi ki mera rang kaisa hai meri aankhon ke raushan qumqumon mein tab kitni hai meri shiryan mein sahme hue bachchon pe kya guzri wo kis raste pe chal nikle ki apne ghar nahin pahunche wo akasr sochti hogi mere kamre mein budhi fahisha tanhai ke hote mere din kaise katte hain meri be-khwab raaten kin khayalon mein guzarti hain kahan ishq-e-gurezan ki kahani khatm hoti hai wo ghar ke lawn mein baithi yahi kuchh sochti hogi ki mere nam ke pichhe meri taswir kaisi hai mere khat bhi nahin us ke tasarruf mein ki un ko khol kar mere badan ke raaz tak pahunche mujhe us ne nahin dekha na main ne us ko dekha hai na us ne mujh ko dekha hai magar apni mohabbat mein ajab husn-e-tawazun hai wo akasr sochti hogi main kitna apne daftar mein hun kitna ghar ki khalwat mein wo mujh ko mujh pe hi taqsim kar ke dekhti hogi mujhe mahsus hota hai koi dil chirti khushbu mujhe aawaz deti hai magar aawaz ke pichhe koi chehra nahin hota wo mujh ko dekh leti hai magar meri basarat mein mahak chehra nahin pati ki khushbu kis ne dekhi hai sada ko kis ne pakda hai makani duriyan kaisi? zamani qurbaten kaisi? wo mera jism hai lekin use main ne nahin dekha