jab pas nahin kuchh bhi mere khwahish maqsad aadarsh ke tute aaine phir gardish-e-roz-o-shab ka mujhe ehsas hai kyun kya gham mujh ko jab subh ki koi fikr nahin aur sham-e-alam se dar bhi nahin wo panw mein ab chakkar bhi nahin sae ki koi hajat bhi nahin ab maut ka khatka koi khalish mauhum tamanna ka arman kuchh bhi to nahin phir kaise main kahta hun mujhe mausam ke badalte rangon ka ehsas hai bas aisa to nahin main mar bhi chuka aur koi nahin hai nauha-kunan (mazi ki riwayat, haal ka gham farda ki umiden kya hongi) jab un se nahin main wabasta phir kya hai koi raaz to hai ek aag si jalti rahti hai rag rag mein meri ek be-mani sa dard mera ehsas jagata rahta hai is tarah ki main sab kuchh yunhi mahsus karun aur kuchh na kahun jab tak ye jahannam raushan hai main zinda hun