dasht-e-ajnabiyat mein aashnai ki chhanw sath chhod jae to har taraf bagulon ka raqs gher leta hai dasht-e-ajnabiyat mein aashnai ki chhanw sath chhod jae to yas gher leti hai aas ke jazire ko aur is jazire ko kab kisi ne dekha hai dasht-e-ajnabiyat mein aashnai ki chhanw sath chhod jae to baadalon ke sae bhi sargiran se rahte hain zindagi ke chehre se rang ruth jate hain rang ruth jaana to maut ki alamat hai dasht-e-ajnabiyat mein aas ke jaziron par jab kabhi utarna tum aashnai ki chhanw sath chhod jae to aas ke jaziron ko yas mein samo lena aur dil ke daman ko aansuon se dho lena