gandum ki wo boriyan jo hamare hisse mein aaen un mein kahaniyan nahin mare hue kirdar bhare hue the hum bahut muddat tak talashte rahe apna jalaya gaya badan magar koi naqsh mumasil nahin tha hamare khal-o-khad se ya shayad hamara naqsha pighal chuka tha jo badan khud-ba-khud nahin jalte balki jhonk diye jate hain aag ki bal khai hui rassiyon mein unhen tumhaari ilhami kitab shahid likhti hai ya mahluk ho sakta hai hamein kai sau sal pahle tak zinda rakkha gaya ho reza reza tah mein magar ab to hamein machis ki tiliyon ki tarah band rakha gaya hai makanon ki dibiyon mein jahan apne hi lawe mein kholti rahti hai hamare zehnon ki haya-bakhta baghawat magar hum shahid ki darjati sidhiyon se gir ke apahij ho chuke hain is liye hamein salakhon ke sunahri jal mein par phadphadane do kahin aisa na ho tum hamein sokhta diwaro ki matruk kahaniyan sunao aur hum machis ki tiliyon ki tarah bhadak uthen aur phir jal ke rakh ho jaen jali hui tiliyon ki jagah kahan hoti hai? ye jalane wale se behtar kaun jaan sakta hai?