sathi ne ki shararat aur mar main ne khai baji ne ki shikayat abbu ne ki pitai sab ghar mein so gae jab wo chupke chupke uttha aahista se kitchen mein choron ki tarah pahuncha khurchi tawe se kalak phir us mein tel dala le kar kitchen se nikla kalak bhara pyala sab nind mein the khoe sab be-khabar the soe laya talash kar ke rui ke chand phoe us ne banain jhat-pat baji ki dadhi monchhen phir subh ko hua kya aao ji ye bhi dekhen aisa hua tamasha aisa hua tamasha baji ko dekhta jo hansta wo be-tahasha aakhir unhon ne socha kya ho gaya hai aisa kyun hans rahe hain ye sab aakhir hai majra kya jab dekha aaine mein abbu se ki shikayat ilzam mujh pe aaya aur bach gaya rifaqat