phulon ka har samt mahakna kaliyon ka har roz chatakna baghon mein bulbul ka chahakna mewon ka shakhon se nikalna jaisa mera des hai 'afsar' aisa koi des nahin kaise kaise achchhe dariya wo un ka ithla ke chalna do bahnen hain ganga jamuna duniya mein sani nahin in ka jaisa mera mera des hai afsar aisa koi des nahin shabnam ne phulon ko nikhaara suraj ne kuchh aur nikhaara kaisa saman hai pyara pyara ek gulshan hai bhaarat pyara jaisa mera des hai 'afsar' aisa koi des nahin