kamre ki khamosh faza mein ek manus si khushbu thi mahki sanson ka sargam tha kanchan ka ya qurb ki hiddat se nikhri thi suraj ki ek ek kiran ujli thi palken bojhal, aankhen band, hawas musakhkhar chadhti dhup mein ek nasha tha is ka fasana ek likhna tha kamre ki khamosh faza khali thi qurb ki khushbu kanchan kaya sans ke sargam sab tahlil hue the jaise fasana khatm hua tha dhalti dhup mein zahr bujha tha wo baitha tha jaise haari fauj se bichhda ek sipahi apni paspai par gum-sum jism ke upar tegh se likhi tahriron par nadim soch raha ho zakhm shumari se kya hasil ek jhonka tha tez hawa ka aaya aur gaya wo patthar ke but ki surat, bilkul behis baitha tha raat ka lamba gahra saya phail gaya tha