kaghaz marakashiyon ne ijad kiya huruf fonishiyon ne shairi main ne ijad ki qabr khodne wale ne tandur ijad kiya tandur par qabza karne walon ne roti ki parchi banai roti lene walon ne qatar ijad ki aur mil kar gana sikha roti ki qatar mein jab chyuntiyan bhi aa kar khadi ho gain to faqa ijad ho gaya shahtut bechne wale ne resham ka kida ijad kiya shairi ne resham se ladkiyon ke liye libas banaya resham mein malbus ladkiyon ke liye kutniyon ne mahal-sara ijad ki jahan ja kar unhon ne resham ke kide ka pata bata diya fasle ne ghode ke chaar panw ijad kiye tez-raftari ne rath banaya aur jab shikast ijad hui to mujhe tez-raftar rath ke aage lita diya gaya magar us waqt tak shairi mohabbat ko ijad kar chuki thi mohabbat ne dil ijad kiya dil ne khema aur kashtiyan banain aur dur-daraaz ke maqamat tai kiye khwaja-sara ne machhli pakadne ka kanta ijad kiya aur soe hue dil mein chubho kar bhag gaya dil mein chubhe hue kante ki dor thamne ke liye nilami ijad hui aur jabr ne aakhiri boli ijad ki main ne sari shairi bech kar aag kharidi aur jabr ka hath jala diya