jalti-bujhti si raushni ke pare hum ne ek raat aisi pai thi ruh ko dant se jis ne kata jis ki har ada muskurai thi jis ki bhinchi hui hatheli se sare aatish-fishan ubal uthe jis ke honton ki surkhi chhute hi aag si tamam jangalon mein lagi rakh mathe pe chutki bhar ke rakhi khun ki jyun bindiya lagai ho kis qadar jawan thi masmasi thi mahngi thi wo raat hum ne jo raat yunhi pai thi