subh

suna hai raat ke parde mein subh soti hai
sawera uth ke dabe paon aaega hum tak

hamare paon pe rakkhega bhige bhige phul
kahega uttho ki ab tirgi ka daur gaya

bahut se kaam adhure pade hain karne hain
unhen samet ke rahen nai talash karo

nahin yaqin karo
yun kabhi nahin hota

sawera uth ke dabe paon
khud na aaega

na ho jo shama
to hargiz sahar nahin hoti

agar shuaon ke bhaale na hon
hamara nasib

to nahren dudh ki khwabon mein bahti rahti hain
zamin ghum ke suraj ko chumti hai zarur

shuaen phatti hain
lekin sahar nahin hoti


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close