jab kabhi tum cigarette jalane ki koshish karte the main phunk mar kar bujha deti thi kitni bar kaha tha tum se ye zindagi sirf tumhaari nahin hai mera jo dil hai wo tumhaare cigarette ke dhuen se kharab ho raha hai aish-tray mein badhti rakh se zindagi meri siyah hui jati hai bujhaya karo inhen jalane se pahle ek kash zindagi ka bujhi hui cigarette se lagana main ne sanjo kar rakhe hai kuchh purane dabbe cigarette ke jis par hum ne zindagi ka plan banaya tha wo cigarette kharab ho gai hai lekin plan abhi bhi sanjida lagta hai ab na jalana cigarette ab main wahan nahin hun jalti cigarette bujhane ko