ghubare sitare gulabi sharabi khule parchamon ke sharare udate hazaron ki tadad mein wo gharon se schoolon se aae dahakte hue gal udte hue baal jismon ke moti wo shabnam the lekin badalte gae garm lawe mein paiham wo bahte gae mauj-dar-mauj har rah guzar par falak-bos naron se apne watan ke nae ya purane chale wo badhe wo sabhi mushtahar dushmanon ko mitane magar shokh chehron ke is karwan mein tasawwur mein bante sanwarte hue surmaon se hat kar khuda jaane kaise kahan se wo aaya wo nanha sa masum baalak jo khamosh hairan pareshan ghubaron shararon falak-bos naron ke be-rahm dariya mein bahta ludhakta chala ja raha tha use kaun pahchanta jab tamashaiyon ki safon mein use dekhne wala koi nahin tha