ai ki teri khidmaten sarmaya-dar-e-ilm hain tera maqsad zist ka aaghaz-e-khush-anjam hai ai ki teri jiddaten aaina-dar-e-ilm hain daimi taskin zamane ko tera paigham hai tere paikar mein nihan hai khwahish-e-auj-e-kamal hai teri tamir mein ilm-o-amal ki kaenat tere sine mein hai muztar jumbish-e-mauj-e-khayal chashma-e-bakhshish hai tera chashma-e-ab-e-hayat teri har harakat mein makhfi aarzu-e-iztirar teri tadbir-e-amal par inhisar-e-zindagi tere har aaram mein pinhan sukut-e-be-qarar tera ehsas-e-karam jaan-e-bahaar-e-zindagi kash tu mere liye wajh-e-kashud-e-kar ho teri qum se bakht-e-khwabida mera bedar ho