naz kyun ho na tujhe kirshn dulari jamuna tu to radha ki saheli bani pyari jamuna rutba aali hai tera martaba bhaari jamuna har jagah faiz-e-atam rahta hai jari jamuna hai yaqin garm kisi din bhari mahfil hogi ras-mandal ki wo lila lab-e-sahil hogi mit gaya lutf tera chhin gaya gahna tera jab kanhayya nahin be-lutf hai rahna tera gham uthana sitam-o-jaur ko sahna tera pani ho ho ke shab-o-roz ye bahna tera aatish-e-hijr kuchh is darja lagi hai tan mein dil na mathura mein bahalta hai na bindraban mein baat bigdi nahin ab bhi hai wahi baat teri wahi jada wahi garmi wahi barsat teri din usi dhang usi rang ki hai raat teri kaun kah sakta hai kuchh bhi nahin auqat teri kirshn sadqe hain to radha hain fidai jamuna har taraf khalq mein hai teri dahai jamuna sadi sadi hai rawish waza hai bholi-bhaali hai rawani bhi ghazab chaal bhi hai matwali nili maujon se pasheman huin zulfen kali husn-o-araish-o-zinat se badhi khush-haali allah-allah re is naz-o-ada ki hasti tere aage nahin kuchh aab-e-baqa ki hasti puchhe radha se koi qadr-e-haqiqat teri kirshn se jaanche koi khubi-e-izzat teri sari duniya mein hai phaili hui azmat teri us ko jannat mili ki jis ne bhi khidmat teri apna ham-rutba jo paya tujhe ganga-ji ne apne pahlu mein bithaya tujhe ganga-ji ne bais naz hai be-shubah himala ke liye sabab-e-fakhr-o-sharf gokul-o-mathura ke liye khas ek nemat-e-haq wadi-o-sahra ke liye mukhtasar ye hai badi chiz hai duniya ke liye dil ki sar-basta kali fart-e-khushi se khul jae us ko amrit mile jis ko tera pani mil jae sach hai asrar-e-haqiqat ka khazana tu hai haal-o-mustaqbil-o-mazi ka zamana tu hai lutf-agin tarab-amez fasana tu hai sab hain begane agar hai to yagana tu hai saf aaine ki surat hai safai teri bandagi kyun na kare sari khudai teri nigah-e-fazl-o-tarahhum se ishaara kar de jo na ho kaam kisi se wo khudara kar de ranj-o-gham dard-o-qalaq dur hamara kar de pyari makhluq mein kuchh aur bhi pyara kar de rahnumai teri 'bismil' ke liye sab kuchh hai na-khudai teri 'bismil' ke liye sab kuchh hai