teri raushan-dimaghi par hain nazan aasman wale teri nazuk-khayali par hain hairan gulsitan wale teri azmat ke qail dil se hain sare-jahan wale sukhan-danon ki mahfil mein tu sham-e-husn-e-mahfil hai sitaron mein ziya-afroz misl-e-mah-e-kaamil hai samajhte hain tujhe salar apna karwan wale kahin alfaz mein husn-e-haqiqi ki hain taswiren kahin ashaar mein ramz-e-mohabbat ki hain tafsiren tere diwan ko jam-e-jam samajhte hain jahan wale kahin aansu kahin naghme kahin jalwe jawani ke tere ashaar aaine hain haal-e-zindagani ke ki jin mein apni surat dekh lete hain jahan wale kahin hubb-e-watan ki aag lafzon mein bhari dekhi kahin manzar-nigari ki hasin jadugari dekhi wo tashbihen hain jin par naz karte hain zaban wale jahan tu ne zara barq-e-jamal-e-sher chamkai wahin ek zindagi ki lahr si daudi nazar aai teri shoala-nawai par hain chup shabnam-sitan wale tere ashaar ne rang-e-qubul-e-am paya hai jahan mein tu ne apni sheriyat se nam paya hai hamesha yaad rakkhenge tujhe hindostan wale