kabhi main zindagi ki naz-bardari na kar paya hamesha bich mein hail raha ek khwab pagal khwab sote jagte jo dekhta hun main ki sar hi sar janaze mein hain mere aur main banon ki nai ek chaarpai par sukun ke sath leta hans raha hun ek aisi bhid par jo mujh ko kandha dene ke liye aapas mein jhagda kar rahi hai mujhe ye zindagi pairon-tale jitna kuchalti hai meri is khwab se wabastagi badhti hi jati hai mere jaise kisi gumnam se ek shakhs ki aankhon ne aisa khwab kyun dekha kahan dekha ye khud mere liye bhi ek paheli hai magar hansiye nahin is khwab par mere mera ye khwab hi to wo kadi hai jo mujh ko zindagi se jodti hai na jaane kab se wo fahrist main tayyar karne laga hun likhe hain nam jis mein aise logon ke janaze mein jinhen hona hi hona chahiye mere so un logon se rishte bhi bahut hamwar hona chahiye mere main ye bhi jaanta hun mujhe jis shan se marne ki khwahish hai wo mehnat mangti hai kisi had tak bhi jhuk kar dushmanon se sulh kar lene ki himmat mangti hai mohabbat mangti hai duaen mangta hun zindagi ki is liye main ki mujh ko wo thoda waqt mil jae nae rishte banane ka talluq gahre karne ka wagarna kyun bhala aaega koi maut ke din ghar pe mere sanak kah lo ki pagal-pan idhar aa kar meri ye dhun yahan tak badh gai hai ki ab main doston se khushi ki mahfilon mein bhi ye aksar puchh leta hun janaze mein to aaoge na mere? yahan chaho to hans sakte ho mujh par magar lashe pe to aansu bahaoge na mere? wo hans dete hain meri baat par aur main kahin andar se jaise tut jata hun magar jab bhi kabhi aisa hua hai janaze ne mujhe kandha diya hai mujhe jab bhi laga aisa ki main ab thak raha hun gir raha hun mere is khwab ne mere apne janaze ne mujhe kandha diya hai