gawahi hashr ke din tamam aaza ke sath hum insanon ki khali jeb ki bhi man li jae to mumkin hai ki beda par ho jae raza aur sabr ki takid par wo sirf aur sirf khali jeb hai insan ki jo bahut khul kar khuda se baat kar sakti hai shayad wahi hai jo farishton ki likhi sidhi sapat aamal ki rudad mein bhi nae kuchh rang bhar sakti hai shayad magar thahro bahut khush-fahm mat ho suna ye hai khuda ki jeb upar tak bhari rahti hai har dam aur kabhi khali nahin hoti use to donon hathon se lutana bantana aata hai bas aisi riwayat hai yahi to pench hai wo khud jis tajrabe se dur hai us ko nazar mein rakh ke koi faisla karna use manzur hoga kya? abhi kuchh der pahle lag raha tha ab hamein aisa nahin lagta ki khali jeb aur us ke dalael ka koi us par asar hoga to matlab ye hua hum log ab bhi dur hain utna hi jannat se ki jitna ye khayal aane se pahle the