tirgi mein bhayanak sadaen uthin aur dhuan sa fazaon mein lahra gaya maut ki si sapedi ufuq-ta-ufuq tilmilane lagi aur phir ek dam siskiyan chaar-su tharthara kar uthin ek man sina-kubi se thak kar giri ek bahan apni aankhon mein aansu liye rah takti rahi ek nanha khilaune ki ummid mein sar ko dahliz par rakh ke sota raha ek masum surat dariche se sar ko lagae hue khwab bunti rahi muntazir thin nigahen badi der se muntazir hi rahin maut ki si sapedi ufuq-ta-ufuq tilmilati rahi