kal us ne puchh hi dala tum aakhir kaun ho mere hamare darmiyan jo ek talluq hai jo rishta hai wo aakhir kaun sa hai nam kya hai kuchh bataoge to main ne kah diya rishta wahi hai darmiyan apne jo aankhon ka hai nindon se jo nindon ka hai khwabon se jo khwabon ka hai raaton se jo raaton ka andheron se andheron ka sitaron se sitaron ka falak se hai falak ka chand-suraj se jo suraj-chand ka hai is zamin se aur zamin ka ped-paudon se hawaon se ghataon se ghataon ka bahaaron se bahaaron ka hai phulon se jo phulon ka hai khushbu se jo khushbu ka hai bhaunron se jo bhaunron ka hai kaliyon se jo kaliyon ka hai kanton se jo kanton ka hai shakhon se jo shakhon ka jadon se hai jadon ka hai jo mitti se jo mitti ka bashar se hai bashar ka jo khuda se hai khuda ka nek bandon se aur un bandon ka iman se aur iman ka aqidat se aqidat ka mohabbat se mohabbat ka dilon se hai wahi dil jo tere sine mein hai aur mere sine mein mohabbat jis ke andar hai mohabbat ka hasin rishta wahi hai darmiyan apne ab is rishte ko koi nam dene ki zarurat hai