sawere aisa laga jaise koi darwaze par dastak de raha hai uth kar dekha to koi nahin tha khat khat ki aawaz par dhyan diya to khidki ke pat par baitha nazar aaya ek parinda chonch se bana raha tha naqsh-o-nigar kyon bhai main ne puchha to kahne laga kirae par chahiye ek tahni jis par bana sakun apna ghonsla apni to jaise-taise kat hi jaegi lekin baal-bachchon ka kya hoga aap ke bhai bandon ne kat dale jangal aur de diya des nikala sawab ki niyyat se bhale aadmi dalan mein rakh dete hain pani ki katori aur dana pet ki aag bujhane ko thoda sa kha pi lete hain chhat bhale na ho khana to chahiye hi kabhi lagta hai bijli ke tar chhu kar khud-kushi kar lun ya unche mobile tawaron se takra kar jaan de dun jaise kisanon ko khud-kushi ke baad sarkar kuchh imdad de deti hai shayad koi gosha hamein bhi allot kar de bachchon ke liye ye sun kar main to chakra gaya is taraf to sach-much main ne koi dhyan nahin diya tha jangalon ko katte samay kis ne socha hoga ki ye be-zaban kahan jaenge main ne hath jod kar kaha in zalimon ki taraf se main muafi mangta hun khuda ke waste khud-kushi ka khayal dil mein na lana jab tak ji chahe meri kundi mein lage one rome kitchen hi mein guzara kar lo kuchh tangi sahi lekin intizam ho jaega us ne kaha mehrbani magar main kiraya ada karne ka ahal nahin main ne kaha subh-sham apni mithi boli suna diya karna bas mujhe aur kuchh nahin chahiye us ne kaha mere dhanye bhag ki aap jaise hamdard insan se mulaqat ho gai lekin har koi to aap jaisa nahin aur phir mere baqi ham-jinson ka kya hoga main ne kaha unhen bhi kahin na kahin sar chhupane ko jagah mill jaegi magar khudara tum khud-kushi ka irada tark kar do hum jhad lagaenge aur un ki hifazat bhi karenge ye sunte hi wo khushi khushi tinke jama karne mein magan ho gaya aur main ghar mein aap ko ye sara majra sunane chala aaya is nanhe se parinde ki khat khat ne goya mere dil-o-dimagh ke darwaze khol diye ye sun kar ya padh kar aap bhi apne aangan mein ek jhad to lagaenge na ya kundi mein ek bij to boenge na kam-az-kam ek bij