galiyan aur galiyon mein galiyan chhote ghar niche darwaze tat ke parde maili bad-rangi diwaren diwaron se sar takraati koi gali galiyon ke sine par bahti gandi nali galiyon ke mathe par bahta aawazon ka ganda nala aawazon ki bhid bahut hai insanon ki bhid bahut hai kadwe aur kasile chehre bad-hali ke zahr se hain zahrile chehre bimari se pile chehre marte chehre haare chehre be-bas aur bechaare chehre sare chehre ek pahadi kachre ki aur us par phirte aawara kutton se bachche apna bachpan dhund rahe hain din dhalta hai is basti mein rahne wale auron ki jannat ko apni mehnat de kar apne jahannam ki jaanib ab thake hue jhunjhlae hue se laut rahe hain ek gali mein zang lage pipe rakkhe hain kachchi daru mahak rahi hai aaj sawere se basti mein qatl-o-khun ka chaqu-zani ka koi qissa nahin hua hai khair abhi to sham hai puri raat padi hai yun lagta hai sari basti jaise ek dukhta phoda hai yun lagta hai sari basti jaise hai ek jalta kadhaw yun lagta hai jaise khuda nukkad par baitha tute-phute insan aune-paune damon bech raha hai!