jangali libas mein ek paikar-e-gudaz chal raha hai jhadiyon mein sanp jhum jhum kar ud raha hai mor apne baal chum chum kar jhil mangne lagi sham ki hawa se saz ek bar tin bar dast-e-sandali uthe panw lahar kha gae jism-e-naz ke sharar jhil ke kinare mast ho ke nachne lage jangali jawan sham ko sukun pa gae jhonpadon se apne apne saz le ke aa gae aasman se chand aur sitare jhankne lage chandni mein jag uthi so rahi thi subh se bol kaise khwab the? mere budh ki murti jhadiyon se surkh zard phul tod tod kar ek bar tin bar aur ab to bar-bar murti pe jangali hasina karti hai nisar chashm o lab ke raqs par hath mod mod kar raqs ki sharab mein mor mast ho gaya sanp jaise so gaya aks-e-mahtab mein ek paikar-e-gudaz aur nachne laga dholakon ki mast chikh aur tez ho gai jangali hasina aur shoala-rez ho gai murti ka dewta khud hi muskura utha aur jaise chaunk kar raqs band ho gaya kis qadar ghurur tha kaamyab raqs par