baras bhar ki khushi ke hum ne kuchh naqshe banae the bhare the un mein kaise kaise dil-kash rang abhi wo rang sukhe bhi na the barish ne aa ghera wo naqshe ho gae bad-rang kahan se yak-ba-yak barse ye patthar ki khwabon ki har ek khidki ke shishe chur kar dale kahan se tezi-o-tundi bhari ye shoalagi aai ki jis ne aarzu o shauq ki zanjir pighlai abhi to aarzu-e-wasl ne donon dilon mein ghar basaya tha abhi is hijr ke dar ne use be-dakhl kar dala abhi aazadi-e-jism-o-dil-o-jaan ka tarana hum ne chheda tha abhi kas ne tumhaare dil pe phir phunka wahi mantar ki tum insan nahin ho ek samaji jaanwar ho tum tumhein rasmon ka qanunon ka bhaari bojh dhona hai numaish ke kasi rishte ki khatir hansna rona hai na insan ho na haiwan ho samaji jaanwar ho tum samaji jaanwar ho tum