aasman ki wusaton mein meri nazren dhundhti hain us hasin mazi ko, jis ki yaad ke sae bhi ghulte ja rahe hain ab hawa mein aur meri aankhon se ojhal ho rahe hain lamha lamha main purana sa koi insan hun, mahsus ye hota hai mujh ko main ne har sawan mein dhoya hai badan ko aur ye dharti mujhe roz-e-azal se jaanti hai yaad hai wo din mujhe achchhi tarah se khaulte chinghadte lawe ke be-payan samundar se uchhal kar hum ikatthe hi gire the aur sadiyon baad hosh aaya, khuli jab aankh meri main ne dekha main to sadiyon pahle paida ho chuka tha