raat ke gahre sannate mein main ghar ke aangan mein tanha chand ko kab se dekh raha hun dil ki diwaron ko kab se gham ki dimak chat rahi hai zehn ke lambe se kamre mein mere mazi ki almari jis ke donon hi dar wa hain ghaur se mujh ko dekh rahi hai ji mein ye aata hai mere mazi ki is almari se jis mein buri bhali sab yaaden upar niche chuni hui hain chand suhani yaaden le lun aur saja lun dil mein apne lekin soch ke ye darta hun gham ki dimak un yaadon ko do hi pal mein chat na jae yaadon ki ye pyari shaklen phir main kaise dekh sakunga!