kuchh din pahle tak main kabutar thi aankhen band kar ke sochti ki duniya se billiyon ka wajud mit chuka hai aur us se bhi pahle main chakor aur titar ke darmiyan koi shai thi subhan teri qudrat ki boli bolti thi aur chandni-raat mein be-qarar rahti thi jab main us se bhi pahle kutiya thi to sara sara din apne malik ke panw chatti rahti thi magar mere pyar ka ye sila mila ki wo ek aur kutiya le aaya is se pahle ke janm mein main ek khub-surat hirni thi wo zamana sab se achchha tha magar bahut jaldi guzar gaya aur mujhe kutiya ban jaana pada hirni se pahle ka arsa main ne khargosh ban kar guzara tha mujh se sab pyar kiya karte the main bhi sab ko chahti thi tab main narm narm hoti thi aaj-kal main ek bakri hun sochti hun bahut ji liya hai mera malik ek sakht-dil aadmi hai an-qarib wo kisi qasai ke hath mujhe bech dega aur log mera gosht khate hue sochenge dekhne mein to achchha tha jaane kyun gala nahin