jab hum pahli bar mile the mausam kitna ujla tha main tha ek aazad parinda nil-gagan mein udne wala tum bhi itne umr-rasida kab the baalon mein ye chandi kab thi lahje mein khanak aankhon mein chamak thi baat baat par zor se hansna aadat mein bhi shamil tha sab ke dukh sukh ka hissa ban jaana fitrat mein bhi shamil tha lekin ab aisa lagta hai tum se bichhadne ka pal shayad aa pahuncha hai tum se bichhad kar kal main jab is mod pe phir wapas aaunga sare raste sab diwaren aur darwaze mujh se mere sath ke bare mein puchhenge ram-narayan aur kedar bhi phir ye raaz na kholenge aur meri aankhon mein sara manzar dhundla dhundla ho jaega lekin main bite lamhon se phir us ko ujla kar lunga aur phir yaad mujhe aaega jab hum pahli bar mile the mausam bilkul aisa hi tha