‘id ke din ka nauha

mera beta abhi tak jail mein hai
manaun ‘id kaise

main kaise ‘id kar lun
nae kapde pahan lun

mera beta
ki jis ki 'umr athaarah se kam hai

wafa-paikar
farishton sa

fazaon mein sharafat ki pala hai
main us ki man hun

kaise ‘id kar lun
mera masum beta jo

nahin waqif zamane ki hawaon se
kabhi dekhi na thi us ne

ye firqon ki junun-khezi
pas-e-parda mazahib ke

ta'assub ne
hamare munsifon ki bhi

basirat chhin li hai aur
unhen andha bana dala

na tha ma'lum ye sab kuchh
tasadum ho rahe the jab

wo bas az-rah-e-hamdardi
faqat insaniyat insan ke nate

bachai thin kai jaanen
na jin ko jaanta pahchanta tha wo

sabhi the ajnabi phir bhi
bacha laya tha un ko dubne se gahre pani mein

yahi ek jurm tha us ka
jo ab tak jail mein hai wo

main kaise ‘id kar lun
kis tarah pahnun nae kapde

main us ki man
manaun ‘id kaise


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close