jannat se bhi aziz hai KHak-e-watan mujhe

mar kar mili hai chadar-e-khak-e-watan mujhe
mitti ne is zamin ki diya hai kafan mujhe

bhaarat ki gard-e-rah hai mushk-e-khutan mujhe
jannat se bhi aziz hai khak-e-watan mujhe

chup lag gai hai ab nahin tab-e-sukhan mujhe
nahr-e-laban hai teri jabin ki shikan mujhe

chashm-e-karam hai tujh se but-e-tegh-zan mujhe
ruthi hui nigah nahin dil-shikan mujhe

ras aae kya firaq mein sair-e-chaman mujhe
ghunche dikha rahe hain jabin par shikan mujhe

mit mit ke gard-e-rah-e-watan bin raha hun main
pise hazar gardish-e-charkh-e-kuhan mujhe

iksir hai nazar mein meri khak-e-pak-e-hind
ujda hua dayar hai fakhr-e-watan mujhe

soz-o-gudaz-e-gham ka hun afsana-e-khamush
samjho ba-rang-e-saz sarapa sukhan mujhe

main ghuncha-e-fasurda hun gulzar-e-dahr mein
baad-e-bahaar kar na saki khanda-zan mujhe

maqtal mein 'barq' mujh se kashida hai tegh-e-yar
tadpa rahi hai dard se banki dulhan mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close