chuhiya aur chiDiya

ek chuhiya aur ek chidiya mein bahut hi gahri chhanti thi
sath sath mil kar thi rahtin khub hi un mein banti thi

gagar le kar gain wo ek din nadi se pani lane
chidiya ne bhara chonch se pani lagi chuhiya dubki khane

dum ko pakad kar chonch se chidiya pani ke bahar lai use
dost ki jaan bacha ke khushi se majra sab batlai use

aah sakhi tu dub chali thi maujud na gar main hoti yahan
shukr hua teri dum lagi hatthe jis ko pakad kar lai yahan

ehsan se ho kar la-parwah chuhiya ne us ko diya bayan
un pe ghota tha main ne to lagaya dub chali thi bhala kahan

ek roz jab kar ke sulh nahane ko donon jati thin
usi rah se bhains bhi pani pine ko jati thin

chidiya udti jati thi aur chuhiya niche chalti thi
aisi jagah par pahunchi chuhiya gobar bhains jahan karti thi

lat-pat gobar mein dab gai chuhiya niche shor machati thi
chonch se gauhar hata ke chidiya us ko bahar lati thi

gobar se chuhiya nikli tab chidiya ne gahri sans bhari
hae sakhi is bar to samjha main ne bahan tu mari mari

agar na hoti main to tumhaari jaan thi bachna na-mumkin
tere liye tha dher se gobar ke to nikalna na-mumkin

ehsan se ho kar la-parwah chuhiya ne us ko diya bayan
unh ubtan tha main ne to lagaya marne lagi thi bhala kahan

pani naha kar nikli chidiya ped pe jism sukhane lagi
chadhne ko upar darakht ke chuhiya bhi chhalangen bharne lagin

kikar ka tha darakht jo ki kanton se tha bhara hua
ek tha kanta sidh mein nak ki chuhiya ke wan khada hua

uchhli chuhiya bar bar kante par jakar atak gai
kikar ke kante ke sahaare jhad se chuhiya latak gai

dekha chidiya ne ki chuhiya uljhi phir nae dushman se
chonch se koshish karke chhudaya khar ko us ke daman se

khush ho ke rihai par us ki chidiya ne kaha ai pyari sakhi
is bar to lale the jaan ke ye aai musibat thi kaisi

agar na hoti sath tere phir kaun bachata tha tujh ko
latak latak kar tahni par hi mar jaana hota tujh ko

ehsan se ho kar la-parwa chuhiya ne us ko diya bayan
unh nak chhidane gai thi un mein marne lagi thi bhala kahan

na-shukri chuhiya ki dekho be-gharzi chidiya ki dekho
ehsan ke badle ho mamnun na-shukron par ehsan karo


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close