aa mere andar aa pawitra mahran ke pani thande mithe matyale pani matiyale jiwan rang jal dho de sara krodh kapat shahron ki dishaon ka sab chhal yun sinch mujhe kar de meri mitti jal-thal tere tal ki kali chikni mitti se mathe par tilak lagaun hath jod dandwat karun o man ke bhed se gahre haule haule sans khinchte om saman amar o mahan sagar main utri tere thande jal mein kamar kamar tere thande mithe mehrban pani se munh dho lun aur dho lun aansu khaare aansu tere mithe pani se dho lun o mahan matiyale sagar aa sun meri katha main badi abhagan bhag mera bedard hath mein raha sada tuta mera mitti se nata kaise tuta ek aandhi badi bhayanak lal chudail mujhe le udi utha kar patka us ne kahan se kahan tere charnon mein sis jhukati ek akeli jaan mere sath mera koi mit nahin koi rang rup koi prit nahin meri an-gadh phiki murjhati boli mein koi sangit nahin meri pidhiyon ke bite yug mere sath nahin bas ek nirdai dharam hai jis ka bharam nahin wo dharam jo kahta hai mitti meri bairan hai jo mujhe sikhata hai sagar mera dushman hai han dur kahin aakash ki unchai se pare rahta hai khuda itna rukha mitti se jod nahin jis ka sab nate prit aur bair ke us ki karan main kaise jodun main mitti mera janam mitti main mitti ko kaise chhodun o matiyale balwan maha-sagar main ukhdi dharti se bhagwan mera ras sukh gaya phir bhi sunti hun apne lahu mein bite samay ki narm dhamak wo samay jo mere janam se pahle bit gaya mere kanon mein ek shor hai jhar-jhar bahte naddi nalon ka aur koi mahak badi be-kal hai jo gunj bani meri chhati se takraati hai o mahan sagar jiwan-ras de apne tal mein jal-pauda ban kar jad lene de sada jiye o mahan sagar sindhu tu sada jiye aur jien tere pani mein phisalti machhliyan shant sukhi yunhi tere pani mein naw khete tere baalak sada jien o palan-haar hamare dharti ke rakhwale ann-data teri dharti narm retili mehrban sindh ki dharti sada jiye