is hawas mein ki pukare jaras-e-gul ki sada dasht-o-sahra mein saba phirti hai yun aawara jis tarah phirte hain hum ahl-e-junun aawara hum pe waraftagi-e-hosh ki tohmat na dharo hum ki rummaz-e-rumuz-e-gham-e-pinhani hain apni gardan pe bhi hai rishta-fagan khatir-e-dost hum bhi shauq-e-rah-e-dildar ke zindani hain jab bhi abru-e-dar-e-yar ne irshad kiya jis bayaban mein bhi hum honge chale aaenge dar khula dekha to shayad tumhein phir dekh saken band hoga to sada de ke chale jaenge