na-gahan aaj mere tar-e-nazar se kat kar tukde tukde hue aafaq pe khurshid o qamar ab kisi samt andhera na ujala hoga bujh gai dil ki tarah rah-e-wafa mere baad dosto qafila-e-dard ka ab kya hoga ab koi aur kare parwarish-e-gulshan-e-gham dosto khatm hui dida-e-tar ki shabnam tham gaya shor-e-junun khatm hui barish-e-sang khak-e-rah aaj liye hai lab-e-dildar ka rang ku-e-jaanan mein khula mere lahu ka parcham dekhiye dete hain kis kis ko sada mere baad 'kaun hota hai harif-e-mai-e-mard-afgan-e-ishq' 'hai mukarrar lab-e-saqi pe sala mere baad' end of the rain of stones