dil jalao amn ki rahon ko bhar do nur se khatm tariki karo jaan jalao shama ki manind pighlo aandhiyon mein bhi na bujhne do mohabbat ke charagh dur kar do nafraton ke sare dagh infiradi khwahishon ki aag ko thanda karo qarya qarya ku-ba-ku ijtimai soch ke anmol dip chaar-su raushan karo dosto jashn-e-azadi nahin hai qumqume bijli ke bazaron mein sulgane ka nam apni mitti hai muqaddas jaise mamta ka taqaddus khun ka ek ek qatra de ke bhi is ki rakhwali muqaddam shan-e-momin azm-e-paiham maujzan ho ruh ruh josh-e-iman-e-husain jazba-e-abbas se ho su-e-manzil gamzan subh-e-azadi ke matwalon ki hai apni hi baat har qadam rakkhen wo aazadi ke parcham ko buland dast-o-bazu apne katwa kar bhi wo khaen na mat dosto jashn-e-azadi nahin hai chadh ke baam-o-dar pe apne chand lamhon ke liye parcham ke lahrane ka nam