mere hamdam main ki tujh ko chahta tha bhulna main ki teri rah se katra raha tha main ki teri yaad sine mein dabae ja raha tha main ki tera pyar duniya se chhupae ja raha tha hadisa phir ho gaya mera dil tanhaiyon mein kho gaya tere ghar ke samne main guzarta ja raha tha tez tez ki achanak car puncture ho gai tere ghar ke samne na thahar sakta tha main na hi ja sakta tha main main bahut hairan tha main bahut aazurda tha wo ki mujh se pyar karte the kabhi wo ki mera nam japte the kabhi samne baithe rahe par na meri jaanib uth kar aa sake jaise main un ka na tha jaise main tera na tha jaise main begana tha apni is tauhin par main bahut sharminda tha main bahut pazhmurda tha tujh se lekin kya gila na tere sine mein dil na teri koi umang tu to kath-putli hai ek mujh ko tujh se kya gila