aazadi ka jashn manao git khushi ke mil ke gao har har gam pe ishrat-e-manzil jaise laila zinat-e-mahmil saghar raqsan mahfil mahfil shauq hai daur-e-jam mein shamil khub piyo aur khub pilao aazadi ka jashn manao ek hi desh ke basne wale hind ki azmat ke rakhwale maut se takraen wo jiyale duniya un se dars-e-wafa le khalq ko ye paigham sunao aazadi ka jashn manao lekin tum ko ye bhi khabar hai sari janta nauhagar hai ek pal jina bhi dubhar hai sans nahin hai ek nashtar hai kuchh un ko rahat pahunchao aazadi ka jashn manao ye faqon ki mari janta bebas aur dukhiyari janta desh ki pyari pyari janta bhaarat ki balihaari janta janta ke dukh-dard mitao aazadi ke jashn manao daur mein yun aae paimana jhum uthe har ek diwana chhed de mutrib koi tarana aa jae ishrat ka zamana aao dilon ke jot jagao aazadi ka jashn manao