jism par us ke aur jaan par din-o-iman par fikr-o-iqan par aql-o-wijdan par sabt hain kitne gahre nuqush us ke duniya mein aane se qabl mulk aur qaum ne rang aur nasl ne tarz-o-adat ne waqt-o-haalat ne agli pichhli riwayat ne apni dali kamand aur duniya mein aane ke baad us ke man bap ne dost ahbab ne qaul-o-aqwal ne haal-o-ahwal ne rasm aur rit ne haar aur jit ne apna phenka hai dam aise mahaul mein us ki fikr-o-nazar us ka zauq-o-hunar us ka soz-e-darun us ka zabt-o-junun us ki insaniyat us ki yaktaiyat kaise aazad ho kaise tutenge lat-o-manat us ki raftar mein loch guftar mein shahd hai us ke andaz mein dilbari us ki aawaz mein sahiri us ki aankhon mein rang-e-haya us ke mathe pe sabr-o-raza narm-rau narm aawaz si aab-e-ju us ka dariya talatum se na-ashna us ki bijli chamakti nahin us ke baadal baraste nahin us ke shoale mein hiddat nahin us ke jazbe mein shiddat nahin ek habs-e-dawam zindagi gumbadon ki sada kath ki putliyon ki tarah jaise chaho nacha lo use us ka apna koi main nahin