jashn-e-azadi

pattiyan kitni bhi aaen jaen
swatantrta diwas ki haardik shubh kaamnaen

desh ka koi bhi gali kucha rahe
tiranga hamesha sab se uncha rahe

tirange mein kesariya safed hara rang hain
tirange ke rang hamare desh ke ang hain

kesariya surya hara wikas ka partik
safed shanti aur dharm nirbhik

tinon se mil kar tiranga banta hai
santulan banae rakhne ke liye sarkar janta hai

bas ek rang ko gar ziyaada mahatw denge
to desh ka santulan bigad lenge

jab janta sarkar hi santulan bigadne lag jae
to phir desh ko bas jai shri ram hi bachae

sahi ko sahi ghalat ko ghalat kahna
desh-bhakti zimme-dari ka hai gahna

yadi hum anaitik ko anaitik na kah paen
to is se achchha hai ki hum gunge ho jaen

aaiye koshish karen ki zimmedar banen
aaiye koshish karen ki iman-dar banen

desh zindabaad hi rahega gar hum zimmedar na banen
desh zindabaad hi rahega gar hum iman-dar na banen

desh zindabaad hi rahega gar hum kuchh bhi na banen
gar kuchh bhi na kar saken to bas itna karen

hum manawta ke wirudh kabhi hathiyar na banen
wipattiyan kitni bhi aaen jaen

swatantrta diwas ki haardik shubh kaamnaen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close