nae zamane ki taknikon ke chakkar mein kya kya bichhad gaya kuchh yaad hai kitaben almariyon mein dam ghunt rahi hain har safha adh-mara sa ho gaya hai un ka bhaar ab logon se uthta nahin shayad achanak se bahut bhaari ho gai hain hazaron ke barabar to sau-gram ka kundal hai panne nahin palte jate ab bas swip kiya jata hai ghadiyan apne band bakson mein band padi hain koi ab un ki chabi nahin bharta shayad thak jate the bhar bhar ke mehnat lagti thi ab ghadiyan hath mein nahin bandhte jebon mein rakhte hain mobile ainak dhul kha raha hai ghar ke kisi kone mein ab to wo khud bhi kuchh dekh nahin sakta nai aankhon ne us ki jagah le li hai ab to aankhon ka rang bhi man-chaha kar sakte hain kala nila pila ya hara kuchh bhi awon ki wo cycle chhat par padi jang kha rahi hai ab koi us ko dhone wala chahiye ab wo kisi ko nahin dho sakti us ke badle aam amrud bhi nahin le sakte ab kaghaz le sakte hain magar hare aur lal un kaghazon se phir dabbe kharid lenge aam amrud ke juice ke shat-partishat wale chakki ke baton ke beach ab kuchh nahin aata shant pade rahte hain jaise mar gae hun be-shak patthar the sil-batte bichhad gae hain kai salon se mile nahin aur chakki ke bant bhi ek arse se hile nahin ab chakki aur sil-batte ki katar katar ki jagah mixer grinder ki ghan ghan sunai deti hai bas jis mez par t w rakhte the wo ab store room mein rakhi hai diwar pe tngati hai ab t w mez anath ho gai hai ab kuchh jion ko khana mil gaya kisi kaam to aa rahi hai ab us ko dimak kha rahi hai kai salon purana nim ka ped jo papa ne aangan mein lagaya tha jis ne har sal tapti hui dhup se chhanw de kar hum sab ko bachaya tha katwana pada car nahin jati thi beach mein padta tha raste mein adta tha ab garmiyon mein aangan suna pada rahta hai sari dopahar sannata pasra rahta hai moti bhi nahin jata kamre mein bhaunkta rahta hai ab kushti koi nahin ladta dekhte hain jo t w pe ladte rahte hain chidiya balla balla gend tand mein rakhe sadte rahte hain ab kanche koi nahin phodta sab kampat phodte rahte hain ab rishta koi nahin jodta sab tokan jodte rahte hain