hamare sath wale ghar mein lagta hai diwali hai dar-o-diwar par hai rang-o-araish misali hai laga hai baghban bhi raat-din is ki sajawat mein nae paude lage mahki hui phulon ki dali hai hai mehmanon se raunaq kis qadar in ke yahan dekho ye khala hain wo khalu hain ye sala hai wo sali hai koi ghar mein hi ghanton se lagi hai aaj make-up mein to koi parlour mein dopahar se yarghamali hai aziz-o-rishta-dar aae hue hain dur se sare samundar par kar ke sas bhi aane hi wali hai bahut masrur-o-shadan hai udhar jis par nazar dalo chamak aankhon mein sab ke aur sab galon pe lali hai emergency mein lady doctor aur nurse hazir hain khadi hai ambulance jis par laga parcham hilali hai kitchen se aa rahi hai ishtiha-amez jo khushbu abhi thaalon mein bawarchi ne biryani nikali hai hamein dawat nahin bheji magar khana to bhejenge so hum ne bhi idhar apni rakabi dho ke dali hai magar ye majra kya hai jo puchha hum ne begam se to bolin jhenp kar wo baat kya is mein nirali hai chhalangen marti phirti thi jo kal tak mohalle mein kaha karte the tum lagta hai ye shaitan ki sali hai bade naz-o-niam se jis ko pala hai padosan ne usi nat-khat si billi ke wiladat hone wali hai