barahna jism pasina mein gharq nange panw magar sukun hai yun dil mein jaise thandi chhanw gehun ke khet se kutiya mein apni aaya hai tasawwuraat ki duniya mein sath laya hai hai ek phati hui kambal gharib kandhon par siyah abr pe rah rah ke uth rahi hai nazar pada hai khet ka saman ek kone mein hain us ki zist ke asrar pa ke khone mein nafas hai phuli hui jaise phunk bhatte ki rakhi hai kan pe bidi bana ke patte ki lahu ki lahar si hai mauj-zan pasine mein baqa-e-dahr ka hai raaz us ke jine mein har ek sans hai us ki bahaar-e-azadi ki us ghulam ka dil hai dayar-e-azadi