mera haal ye tha zamistan mein jab barf-zaron mein chalte hue gurisna bhediyon ki qataren guzartin to mein kapkapata ye ji chahta arsa-e-zist ko chhod kar kohsaron ke us par dera laga lun idhar mere jate hi barfen pighal jaen gurgan-e-be-mehr mere nuqush-e-qadam sungh kar mujh tak aane na paen magar ab to jaise meri ruh mein koi chita sa angdaiyan le raha hai ye ji chahta hai ki gurg-e-ashti ki sabha jab lage main bhi taswir jaisi khuli aankh le kar jo hargiz jhapakti na ho ghaar ke wast mein aan baithun aur un mein se jis jis ki aankhen jhapakti chali jaen wo lahza lahza mera rizq ho main use para-para karun