hawa kahin nam ko nahin thi azan-e-maghrib se din ki paspa sipah ka dil dhadak raha tha tamam rangon ke imtiyazat mit chuke the har ek shai ki siyah qaba thi jagah jagah baam-o-dar ke paikar ufuq ke rangin chaukhate mein misal-e-taswir jam gae the shajar hajar sab ke sab gireban mein sar jhukae muhasba kar rahe the din bhar ke nek o bad ka tawil qamat hazin khajuren kati hui saaton ke matam mein baal khole hue khadi thin nashemanon ko palatte tair kuchh aise tham tham ke ud rahe the ki safha-e-asman pe goya sarab-e-parwaz ban gae the idhar mera dil dhadak dhadak kar ajib ibrat bhari nadamat se sochta tha ki aaj ka din bhi kat gaya hai