aa idhar ai dost aa tu mujh se chhup sakta nahin sai-e-khud-poshi hai kyon jab main tujhe takta nahin garche pahle sufiyana swang ne dhoka diya lekin aankhon ki chamak ne tujh ko pahchanwa diya teri aankhon se ayan ab tak wo barqi lahar hai qahr hai teri nigah-e-tez han han qahr hai al-aman ye teri aashufta-nigahi al-aman umr-o-ayyar ki bhi hech hain chaalakiyan kyon main hairan hun jo har su aaj teri dhum hai teri fitrat ibtida se hi tujhe malum hai tujh se mil kar aaj mujh ko madrasa yaad aa gaya phir wo tifli ka muraqqa dil mera tadpa gaya mutmain rahti na thi teri nigah-e-justuju taur tere aarifana narm teri guftugu madrase mein apne ham-umron se wo sargoshiyan bar-mahal sargoshiyon ke baad wo khamoshiyan ham-jamaat dost kahte the tujhe apna wada tujh ko un ke khangi jhagdon ki bhi thi justuju yaad hai mujh se bhi kuchh puchha tha ek din ai sharir aur phir kahne laga tha tu mujhe raushan zamir har kisi ustad ka tu munh chadha shagird tha nam tera waqai sab ki zaban ka wird tha har kisi ustad ka tu munh chadha shagird tha nam tera waqai sab ki zaban ka wird tha teri fitrat qabiliyyat tere kaam aa hi gai ghair-mulki hakimon tak tujh ko pahuncha hi gai hain siyah akhbar sare tere nam aur kaam se shayad ab tu aa raha hai khas mulk-e-sham se kar raha hai sair-e-duniya ban ke ab jasus tu aah abna-e-watan se khak ho manus tu