shab ki khamoshiyon mein soi hui hai duniya chup-chap hain sitare khamosh aasman hai lekin ai mutriba tu bedar hai abhi tak ek iztirab-e-dariya dil mein tere nihan hai basti se dur aa kar baithi hai kyon lab-e-ju barbat liye baghal mein kuchh gunguna rahi thi naghma-saraiyon pe aamada thi tabiat aahat ko meri pa kar khamosh ho gai hai aane se mere shayad barham hui hai khalwat main bu-e-naghma pa kar aaya tha gham bhulane munh mod kar jahan se phirta hun dasht-o-sahra masruf-e-justuju hun manzil se be-khabar hun duniya ke gulistan ka bhatka hua hun tair jo shakh se na tapka wo ras bhara samar hun rangin-nawaiyon se dil ki lagi bujha de phir chhed apna barbat phir hosh mere kho de naghmon se tere gunje sari faza-e-sahra ruhul-qudus ke shahpar rag apna bhul jaen jannat ke taeron mein ek hashr sa ho barpa tere suron ko sun kar tham jaen bahte dariya har tan teri goya hai aabshaar-e-naghma sehr-e-halal hai ye ya hai tera tarannum teri dabi sada hai ya pad rahi hai shabnam teri dhunen nahin hain ghunchon ka hai tabassum teri khamoshiyan bhi kya ras-bhari hain kain gar chhed de ai jogan mera bhi tu do-tara ho jaen zindagi ke naghme hazar paida dhal jae ruh meri sarmast zamzamon mein mausiqi-e-abad ke dil mein hon tar paida han chhed de do-tara main kab se muntazir hun