jism ki maut koi maut nahin hoti hai jism mit jaane se insan nahin mar jate dhadkanen rukne se arman nahin mar jate sans tham jaane se elan nahin mar jate hont jam jaane se farman nahin mar jate jism ki maut koi maut nahin hoti hai wo jo har din se munkir tha har ek dharm se dur phir bhi har din har ek dharm ka gham-khwar raha sari qaumon ke gunahon ka kada bojh liye umr-bhar surat-e-isa jo sar-e-dar raha jis ne insanon ki taqsim ke sadme jhele phir bhi insan ki ukhuwwat ka parastar raha jis ki nazron mein tha ek aalami tahzib ka khwab jis ka har sans nae ahd ka meamar raha jis ne zardar-e-maishat ko gawara na kiya jis ko aain-e-musawat pe israr raha us ke farmanon ki elanon ki tazim karo rakh taqsim ki arman bhi taqsim karo maut aur zist ke sangam pe pareshan kyun ho us ka bakhsha hua sah-rang-e-alam le ke chalo jo tumhein jada-e-manzil ka pata deta hai apni peshani par wo naqsh-e-qadam le ke chalo daman-e-waqt pe ab khun ke chhinte na paden ek markaz ki taraf dair-o-haram le ke chalo hum mita dalenge sarmaya-o-mehnat ka tazad ye aqida ye irada ye qasam le ke chalo wo jo hamraaz raha hazir-o-mustaqbil ka us ke khwabon ki khushi ruh ka gham le ke chalo jism ki maut koi maut nahin hoti hai jism mit jaane se insan nahin mar jate dhadkanen rukne se arman nahin mar jate sans tham jaane se elan nahin mar jate hont jam jaane se farman nahin mar jate jism ki maut koi maut nahin hoti hai