hamila badliyon ne apne kate-phate kinaron mein chandi ki jhaalaren latka rakhi thin aur apni dulaiyon ke bakhiyon mein rangon ki bichkariyan chhupa rakkhi thin ufuq surkh tha jaise shahr ke shohde darpok dukan-daron par apni dhak jamane nai kataiyan kamane par muqarrar hun sode ki botalon se ek dusre par hamla-awar hun aur futpathon par shishon ke tukdon se ajnabi rahgiron ke nange pairon se sirf unnab dastiyab ho zamin gulnar bane bas isi tarah ka rang aasman mein khila hua mila raat ki fasil ke qarib sham ka muhasara kiye pada hua tha main * ai allama aaj tere kisan ki kafir beti apne git utar ke meri samt se apna biddat phere isi nim-barahna khunin-manzar mein ugi hui thi wadi ke diye mein shoale ki tarah laraz rahi thi is ki nangi pith par tani hui spaini ridh ki haddi ke aas pas muztarib chutkiyon bhare rasile kulhon ke jalali tanaw ne do nanhe nanhe qaus bana diye the jin mein jate din ki raushni pare ki tarah phisal phisal kar jama ho rahi thi aur un gunge halqon ke tang-dan mein jaan pad gai thi aaj unhi koson mein apni aankhen chhod chala aur apne gham bhul gaya mere log nai tahzib musakhkhar karne aae the wo tarikh hamesha yaad rahi us ka sog abhi tak hai