aah mein ai dil-e-mazlum asar paida kar jis mein sauda-e-mohabbat ho wo sar paida kar gham ka tufan bhi agar aae to kuchh fikr na kar qaum ka dard har ek dil mein magar paida kar zulmat-e-gham ka nishan tak na nazar aae kahin wo khayalat ki duniya mein sahar paida kar sarfaroshon ki tarah pahle mita de khud ko hind ki khak se phir lal-o-gohar paida kar aag be-faiz ki daulat ko laga de yarab kaam aae jo gharibon ke wo zar paida kar aaj bhi qaum ke sheron ka lahu hai tujh mein hausla ram ka bhisham ka jigar paida kar hon hanuman aur 'angad' se hazaron yodhdha sainkadon bhim aur arjun se bashar paida kar aasman kanpta hai nam se jin ke ab tak aaj phir qaum mein wo lakht-e-jigar paida kar phir zarurat hai jawan mardon ki ai madar-e-hind rana-pratap se khuddar bashar paida kar ahd-e-rafta mein janam tu ne diya tha jin ko madar-e-hind wahi nur-e-nazar paida kar chain rahat se agar umr basar karni hai dil mein aghyar ke bhi uns se ghar paida kar gar tamanna hai ki ho sara zamana apna jazba-e-ishq-o-mohabbat ki nazar paida kar 'aftab' ab teri taqdir ka chamkega zarur mard ban kar koi duniya mein hunar paida kar